LYRIC

Music By : Nadeem – Shravan

Singers : Kumar Shanu, Alka Yagnik, SonuNigam, Shabbir Kumar

Male : O yaaron maaf karna kuchh kehne aaya hoon
Kuchh apne baare mein samjhane aaya hoon

Male : O yaaron maaf karna kuchh kehne aaya hoon
O yaaron maaf karna kuchh kehne aaya hoon
Kuchh apne baare mein samjhane aaya hoon
Main hoon pardesi naujawan
Dil mein rehne aaya hoon
Dil mein rehne aaya hoon

Male : O yaaron maaf karna kuchh kehne aaya hoon
Kuchh apne baare mein samjhane aaya hoon
Main hoon pardesi naujawan
Dil mein rehne aaya hoon
Dil mein rehne aaya hoon

Male : Oy..oy…oy…mere ehle vatan,
O tera kya kahna
Nasrino saman, o tera kya kahna
Khushboo e chaman tera kya kehna
Meri gango jaman tera kya kehna

Male : Oy…oy…oy…ae desh se aanewale bata
Kaisa hai mera mehboob vatan
Kaisa hai mera mehboob vatan

Male : Kya ab bhi vahan khaliyanome,
Sab neem ke niche sote hai
Kya ab bhi vahan bachpanwale,
Woh khel suhane hote hai

Female : Kya ab bhi vahan rajarani ke,
Kisse dadi sunati hai
Kya ab bhi vahan per bachhon ko,
Maa lori ga ke sunati hai

Male : Kya ab bhi vahan baisakhi mein,
Sab jhumke bhangda pande hai
Oy…oy…oy…kya ab bhi vahan barato mein,
Sab tashe dhol bajande hai
Oy…oy…oy…kya ab bhi vahan ke
Dhabo mein milti hai makke di roti
Oy…oy…oy…kya ab bhi vahan ke
Melo mein udti hai hasinoki choti

Male : Tere desh ki mitti ki
Vohi khushboo laya hoon,
Vohi khushboo laya hoon
O yaaro maaf karna kuch kahne aaya hoon
Kuch apne bare me samjhane aaya hoon….

Male : Ae mere vatan kurbaan
Tu meri aan…vai vai…tu meri shan…vai vai
Tu meri jaan…vai vai…tujhpe kurbaan…vai vai
Mera armaan…vai vai…meri pahchan…vai vai
Mera imaan…vai vai…tujhpe kurbaan…vai vai

Male : Kya ab bhi muhobbat ki lahre
Uthti hai chanab ke pani se
Kya ab bhi suroor chalkta hai
Madmast hawa ki rawani se
Kya ab bhi vahan pe
Galib meer ki gazle gaayi jaati hai
Kya ab bhi vahan pe
Mastani mahfilen sajai jaati hai
Kya ab bhi vahan ki iado mein
Aati hai sevayiyoki khushboo
Kya ab bhi vahan tyoharo mein
Lagte hai woh mele harsoo
Kya ab bhi vahan per shadi mein
Dulhe ka sehra gaate hai
Kya ab bhi vahan khushhaali mein
Ghar ghar laddo bhijwate hai

Male : Tu laga le gale mujhko
Main bhi tera hi sayaan hoon
Main bhi tera hi sayaan hoon
O yaaro maaf karna kuch kahne aaya hu
Kuch apne bare me samjhane aaya hoon

Female : Pardes mein kuchh achcha na lage
Pardes mein kuchh achcha na lage
Pardes mein kuchh achcha na lage
Kuchh din to yahan sachcha na lage
Chahat ka yahan koi mol nahi
Do pyaar bhare koi bol nahi

Female : Apnon ne mujhe thukraya hai
Gairon ne mujhe apnaya hai
Ghar ki dehleez bulaati hai
Apnon ki bahut yaad aati hai
Apnon ki bahut yaad aati hai
Male : Humdard hoon main tera
Humdard hoon main tera
Mat soch paraya hoon
Mat soch paraya hoon
O yaaron maaf karna kuchh kehne aaya hoon
Kuchh apne baare mein samjhane aaya hoon
Main hoon pardesi naujawan
Dil mein rehne aaya hoon
Dil mein rehne aaya hoon
Dil mein rehne aaya hoon
Dil mein rehne aaya hoon

Female : Aa.. aa…


Added by

Thendral

SHARE

ADVERTISEMENT