LYRIC

Singer : Arijit Singh

Music by : Pritam Chakraborty

Lyrics by : Sandeep Shrivastava

Male : Ya to barbaad kar do
Ya to barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do
Ya to barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do

Male : Woh galat tha yeh sahi hai
Jhooth yeh aaj keh do

Male : Itna ehsaan kar do
Itna ehsaan kar do
Poore armaan kar do
Lab pe aa kar jo ruke hain
Dhayi woh harf keh do

Male : Meri saanson se judi hai
Teri har saans keh do

Male : Mushkil aasaan kar do
Mushkil aasaan kar do
Ya to barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do
Ya to barbaad kar do

Male : Meetha sa yeh zehar to
Main to peeta rahunga
Tu khuda na sahi
Main to sajde karunga

Male : Meetha sa yeh zehar to
Main to peeta rahunga
Tu khuda na sahi
Main to sajde karunga

Male : Tum jo sheerin na huye kya
Humko farhaad kar do
Meri saanson se judi hai
Teri har saans keh do

Male : Mushkil aasaan kar do
Mushkil aasaan kar do
Ya to barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do
Ya to barbaad kar do

Male : Khwabo ko jaga
Na mili ankhon mein
Waha pehle se hi sehlaab tha
Nagme banata fira saazon pe
Dil apna fakat mizrab tha

Male : Khwabo ko jaga
Na mili ankhon mein
Waha pehle se hi sehlaab tha
Nagme banata fira saazon pe
Dil apna fakat mizrab tha

Male : Meri be-jaan hasraton ko
Kabile daar kardo
Meri saanson se judi hai
Teri har saans keh do

Male : Itna ehsaan kar do
Itna ehsaan kar do
Poore armaan kar do
Ya to barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT