Ram Raja Bhi Hain Aur Tapasvi Bhi Hain Song Lyrics
Lyrics in Hinglish
Ram Raja Bhi Hain Aur Tapasvi Bhi Hain Song Lyrics is a track from Ramayana : Part 1 Hindi Film-2026, Starring Ranbir Kapoor, Ravi Dubey, Sai Pallavi, Sunny Deol, Yash and Others. This song was sung by Jubin Nautiyal and Chorus. Music was composed by Dr. Kumar Vishwas and lyrics work penned by Dr. Kumar Vishwas.
Music : ……………………
Male : Ram shrishta bhi hain aur shrishti bhi hain
Chorus : Ram shrishta bhi hain aur shrishti bhi hain
Male : Ram drishta bhi hain aur drishti bhi hain
Chorus : Ram drishta bhi hain aur drishti bhi hain
Male : Ram jeevan bhi hain ram mukti bhi hain
Chorus : Ram jeevan bhi hain ram mukti bhi hain
Male : Ram hain khoj bhi ram yukti bhi hain
Chorus : Ram hain khoj bhi ram yukti bhi hain
Male : Ram manhar bhi hain aur manasvi bhi hain
Chorus : Ram manhar bhi hain aur manasvi bhi hain
Male : Ram raja bhi hain aur tapasvi bhi hain
Chorus : Ram raja bhi hain aur tapasvi bhi hain
Chorus : Siya balram raghunandan raghupati dashrath
Siya balram maryada puroshattam dhanushdhari siya ram
Male : Ram aaraadhya hain ram aaraadhana
Chorus : Ram aaraadhya hain ram aaraadhana
Male : Ram hain saadhya bhi ram hi saadhana
Chorus : Ram hain saadhya bhi ram hi saadhana
Male : Ram maanas bhi hain ram geeta bhi hain
Chorus : Ram maanas bhi hain ram geeta bhi hain
Male : Ram hain ram bhi ram sita bhi hain
Chorus : Ram hain ram bhi ram sita bhi hain
Male : Ram hai dhaarana ram hi dharm bhi
Chorus : Ram hai dhaarana ram hi dharm bhi
Male : Ram kaaran bhi hain ram hi karm bhi
Chorus : Ram kaaran bhi hain ram hi karm bhi
Male : Ram mahalon mein hain ram jungle mein hain
Chorus : Ram mahalon mein hain ram jungle mein hain
Male : Ram hain shok mein ram mangal mein hain
Chorus : Ram hain shok mein ram mangal mein hain
Male : Ram har yug mein hain ram har pal mein hain
Chorus : Ram har yug mein hain ram har pal mein hain
Male : Ram hain aaj mein ram hi kal mein hain
Chorus : Ram hain aaj mein ram hi kal mein hain
Male : Ram grihasth hain ram hain sant bhi
Chorus : Ram grihasth hain ram hain sant bhi
Male : {Ram aarambh bhi ram hi ant bhi
Chorus : Ram aarambh bhi ram hi ant bhi} (2)
Male : Ram aarambh bhi ram hi ant bhi