Tanhayee Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Tanhayee Song Lyrics is a track from Dil Chahta Hai Hindi Film – 2001, Starring Aamir Khan, Saif Ali Khan, Akshaye Khanna, Preity Zinta, Sonali Kulkarni, Dimple Kapadia and Others. This song was sung Sonu Nigam. Music was composed by Shankar–Ehsaan–Loy and lyrics work penned by Javed Akhtar.

 

Male : Tanhaai.. tanhaai..

 

Male : Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaai
Toote khwaab saare ek mayoosi hai chhayi
Har khushi so gayi, zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya maine to saza mein paayi
Tanhaai.. tanhaai..
Meelon hai phaili hui tanhaai
Tanhaai.. tanhaai.. Meelon hai phaili hui tanhai

 

Male : Khwaab mein dekha tha ik aanchal
Maine apne haathon mein
Ab toote sapnon ke sheeshe
Chubhte hain in aankhon mein
Khwaab mein dekha tha ik aanchal
Maine apne haathon mein
Ab toote sapnon ke sheeshe
Chubhte hain in aankhon mein
Kal koi tha yahin, ab koi bhi nahin
Ban ke naagin jaise hai saanson mein lehrayi
Tanhaai.. tanhaai..
Palkon pe kitne aansu hai laayi
Tanhaai.. tanhaai..
Palkon pe kitne aansu hai laayi

 

Male : Kyun aisi ummeed ki maine
Jo aise nakaam hui
Door banaayi thi manzil
To raste mein hi shaam hui
Kyun aisi ummeed ki maine
Jo aise nakaam hui
Door banaayi thi manzil
To raste mein hi shaam hui
Ab kahan jaaoon main
Kisko samjhaaun main
Kya maine chaaha tha
Aur kyun kismat mein aayi
Tanhaai.. tanhaai..
Jaise andheron ki ho gehraai

 

Male : Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaai
Toote khwaab saare ek mayoosi hai chhayi
Har khushi so gayi, zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya maine to saza mein paayi
Tanhaai.. tanhaai..
Meelon hai phaili hui tanhaai
Tanhaai.. tanhaai..
Meelon hai phaili hui tanhaai

 

Male : Tanhaai.. tanhaai..
Tanhaai.. tanhaai..

Song Details

Official Video

Share this song:

More from Dil Chahta Hai