Mohe Mor Banaiyo Radha Apne Vrindavan Ko Song Lyrics
Lyrics in Hinglish
Mohe Mor Banaiyo Radha Apne Vrindavan Ko Song Lyrics is a track from Bajao Bhakti Hindi Album -2026, Starring NA. This song was sung by Kratika Thakur. Music was composed by Bunty Thakur and lyrics work penned by Bunty Thakur.
Female : Radha radha radha radha
Radha radha radha radha
Female : Mohe mor banayo radha apne vrindavan ko
Main naach naach kood ke tumko rijhaungi
Mohe bandar baniyo to baniyo seva kunj ko
Main kood faand braj mein jor dikhaungi
Main kood faand braj mein jor dikhaungi
Female : Mohe bhikshuk baniyo to
Baniyo govardhan ko
Main maang maang tuk brajvasiyon ke khaungi
Mohe rasik baniyo to baniyo barsane ko
Main aathon yam radha radha radha naam gaaungi
Female and Chorus : Main aathon yam radha radha radha naam gaaungi
Female : Radha radha
Chorus : Radha radha
Female : Radha radha
Chorus : Radha radha
Female : Mohe tilak baniyo radha apne mastak ko
Main teenon lokon ke sar ka taaj ban jaaungi
Mohe kanthi baniyo radha apne gale ki
Main meetho meetho bol jag apno banaungi
Female and Chorus : Main meetho meetho bol jag apno banaungi
Female : Mohe kangan baniyo radha apne haathon ko
Main duniya mein sabse anmol kehlaungi
Mohe paayal baniyo radha apne pairon ki
Main chham chham kar saaro braj ghoom aaungi
Female and Chorus : Main chham chham kar saro braj ghoom aaungi
Female : Radha radha
Chorus : Radha radha
Female : Radha radha
Chorus : Radha radha
Female : Mohe lata baniyo radha apne nidhivan ki
Main jhoom jhoom krishna radha raas dekh paaungi
Mohe jal baniyo to baniyo yamuna ji ko
Main braj bhoomi mein amrit chhalkaungi
Female and Chorus : Main braj bhoomi mein amrit chhalkaungi
Female : Mohe ped baniyo to baniyo kadam ko
Main kanha ke sang mil cheer churaungi
Mohe kankar baniyo to baniyo nandgaon ko
Main gopiyon ki matki phodd makhan giraungi
Female and Chorus : Main gopiyon ki matki phodd makhan giraungi
Female : Radha radha
Chorus : Radha radha
Female : Radha radha
Chorus : Radha radha
Female : Mohe koyel baniyo radha apne baag ki
Main duniya ko meetho meetho raag sunaaungi
Mohe phool baniyo radha apni mala ko
Main radha radha bol saaro jag mahkaaungi
Female and Chorus : Main radha radha bol saaro jag mahkaaungi
Female : Mohe sant baniyo to baniyo premanand so
Main apno jeevan radha naam pe lutaungi
Mohe daasi baniyo radha apne charnon ki
Main radha naam ke bhajan gaungi
Shree radha naam ke bhajan gaungi
Female : Radha radha
Chorus : Radha radha
Female : Radha radha
Chorus : Radha radha
Female : Mohe mor baniyo radha apne vrindavan ko
Main naach naach kood ke tumko rijhaungi
Mohe bandar baniyo to baniyo seva kunj ko
Main kood faand braj mein jor dikhaungi
Main kood faand braj mein jor dikhaungi
Female : Radha radha
Chorus : Radha radha
Female : Radha radha
Chorus : Radha radha
Hindi lyrics are not available for this song yet.