Meri Maa Ke Barabar Koi Nahi Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Meri Maa Ke Barabar Koi Nahi Song Lyrics is a track from T- Series Hindi Album -2026, Starring NA. This song was sung by Jubin Nautiyal, Payal Dev, Arijit Singh, Vishal Mishra and Sachet Tandon. Music was composed by Payal Dev, Manan Bhardwaj, Jeet Gannguli and Vishal Mishra and lyrics work penned by Manoj Muntashir.

 

 

Male : Aati hai to aaye
Path mein 100 baadhaayein
Tu mere maathe par maa
Aashirvaad ka teeka hai
Chitthi na sandesha
Phir bhi maine dekha
Jab jab main roya maai
Tera aanchal bheega hai
Teri mamta ke aage
Har sukh pheeka hai

 

Male : Mere chaand sitaare do naina
Mujhe aur kisi se kya lena

Chorus : Mujhe aur kisi se kya lena

Male : Jag saath nahin to dukh kaisa
Mere saath meri maai hai na

Chorus : Mere saath meri maai hai na

 

Male : Mere chaand sitaare do naina
Mujhe aur kisi se kya lena

Chorus : Mujhe aur kisi se kya lena

Male : Jag saath nahin to dukh kaisa
Mere saath meri maai hai na

Chorus : Mere saath meri maai hai na

Male : Mere saath meri maai hai na

Chorus : Mere saath meri maai hai na

 

Male : To kya jo ye peeda ka parvat
Rasta roke khada hai
Teri mamta jiska bal vo
Kab duniya se dara hai
Himmat mein kyon haarun maiya
Himmat mein kyon haarun maiya
Sar pe haath tera hai

 

Male : Teri lagan mein magan main naachun
Gaaun tera jagraata
Main balak tu mata sherawaliye
Hai atoot ye nata sherawaliye
Hoo main balak tu mata sherawaliye
Hai atoot ye nata sherawaliye
Sherawaliye maa pahada waliye maa
Jyota waliye maa mehra waliye maa
Main balak tu mata sherawaliye
Hai atoot ye nata sherawaliye

 

Male : Teri god mein sar hai maiya
Ab mujhko kya dar hai maiya
Teri god mein sar hai maiya
Ab mujhko kya dar hai maiya
Duniya nazar phere to phere
Duniya nazar phere to phere
Mujh pe teri nazar hai maiya
Teri god mein sar hai maiya
Ab mujhko kya dar hai maiya

 

Chorus : Maiya teri jai jaikaar
Maiya teri jai jaikaar
Maiya teri jai jaikaar
Maiya teri jai jaikaar

 

Humming : …………..

 

Male : Ho main parvat na chadha to
Kya jagdamba mere ghar par hai
Aisa teerath ka hai punya mila
Maa ke pairon mein sar hai
Yahi likha hai
Yahi likha hai vedon mein
Yahi batati hai geeta
Kaun haraaye us bete ko
Jisne maa ka mann jeeta

Chorus : Kaun haraaye us bete ko
Jisne maa ka mann jeeta

Male : Kaun haraaye us bete ko
Jisne maa ka mann jeeta

Chorus : Kaun haraaye us bete ko
Jisne maa ka mann jeeta
Jisne maa ka mann jeeta

 

Male : Ooncha hai bhavan ooncha hai mandir
Oonchi hai shaan maiya teri
Charanon mein jhuke baadal bhi tere
Parvat pe lage shaiya teri

 

Male : Ye kaali raat ye kalyani
Tera jod dhara par koi nahin
Meri maa ke barabar koi nahin

Chorus : Meri maa ke barabar koi nahin

Male : Teri mamta se jo gehra ho
Aisa to saagar koi nahin
Meri maa ke barabar koi nahin

Chorus : Meri maa ke barabar koi nahin

 

Male : Dhoop samay ki laakh sataaye
Mujh mein himmat baaki hai
Mera sar dhakne ko maai
Teri chunar kaafi hai

 

Male : Kya maange vo beta
Jisne maa ki mamta paayi hai
Ek taraf hai ye jag saara
Ek taraf meri maa hai

Chorus : Kya maange vo beta
Jisne maa ki mamta paayi hai
Ek taraf hai ye jag saara
Ek taraf meri maa hai

 

Male : Haa aaa haa aaa aa

Male : Hooo ooo hoo oo oo ooo

 

Male : Kya hai jamaana kya hai ye teerth
Baarish mein rang saare chhoote
Tera bharosa tera sahaara
Baaki saare vaade jhoothe

 

Male : Tere bin jeevan patjhad jaisa
Tere sang patjhad mein bahaar
Maaye ni maaye mandir mein apne
Mujhko bula ek baar
Dharti na maangu ambar na maangu
Maangu maa tera pyaar
Maangu maa tera pyaar

Song Details

Official Video

Share this song:

Never miss a beat.

Get the latest hits, new lyricist additions, and trending songs delivered straight to your inbox.