Ghar Kab Aaoge Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Ghar Kab Aaoge Song Lyrics is a track from Border 2 Hindi Film -2026, Starring Sunny Deol, Varun Dhawan, Diljit Dosanjh, Ahan Shetty and Others. This song was sung by Sonu Nigam, Arijit Singh, Vishal Mishra and Diljit Dosanjh. Music was composed by Anu Malik and lyrics work penned by Manoj Muntashir.

 

Male : Ho ooo ooo ooo …..

 

Chorus : Ho ooo ooo ooo …..

 

Male : Sandese aate hain humein tadpaate hain
Jo chitthi aati hai woh poochhe jaati hai
Ki ghar kab aaoge ki ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ki tum bin yeh ghar soona soona hai

 

Male : Sandese aate hain humein tadpaate hain
Jo chitthi aati hai woh poochhe jaati hai
Ki ghar kab aaoge ki ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ki tum bin yeh ghar soona soona hai

 

Chorus : Ho ooo ooo ooo …..

 

Male : Yeh dil jo barson se tha khaali-khaali sa
Kisi ke aane se saja diwali sa

Male : Jage hain darwaaze kisi ki aahat se
Savera hota kisi ki karvat se

 

Male : Main socha karta hoon yahi tanhaai mein
Ke chanda utrega meri angnaai mein
Naseebon wali ne kaan ki baali ne chauth ki thaali ne
Aur poochha hai mehndi ki laali ne

 

Males : Ki ghar kab aaoge?
Ki ghar kab aaoge?
Likho kab aaoge?
Male : Ki tum bin yeh dil soona soona hai

 

Males : Sandese aate hain humein tadpaate hain
Jo chitthi aati hai woh poochhe jaati hai

 

Male : Ki ghar kab aaoge ki ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ki tum bin yeh ghar soona soona hai

Chorus : Ho ooo ooo ooo …..

 

Male : Yeh poochho aankhon ke jhalkte paani se
Bichhadte hain koi kahaan aasaani se

Male : Main peeche chhod aaya duaayein karti maa
Ki usse bhi pyaari mujhe yeh dharti maa

 

Male : Kisi ne dheere se kaha tha laut aana
Main raasta dekhungi mujhe na tadpaana
Jaagti raaton ne ankahi baaton ne adhoore vaadon ne
Aur poochha hai uski yaadon ne

 

Males : Ki ghar kab aaoge?
Ki ghar kab aaoge?
Likho kab aaoge?
Male : Ki tum bin yeh dil soona soona hai

 

Male : Badi yaad aati hai kisi ki raaton mein
Kalai resham si abhi hai haathon mein

Male : Shayari jaisi woh labon pe rehti hai
Mohabbat jaisi woh ragon mein behti hai

 

Male : Jo gudiyon se khele woh gudiyaan yaad aayein
Ki baaton-baaton mein usi ki baat aaye
Mere dildaaron ne gali-bazaaron ne ki chitthi-taaron ne
Aur poochha hai mere yaaron ne

 

Male : Ki ghar kab aaoge?
Ki ghar kab aaoge?
Likho kab aaoge?
Male : Ki tum bin yeh dil soona soona hai

 

Male : Ae guzarne wali hawa bata
Mera itna kaam karegi kya?
Mujhe chhod ke jo chala gaya use dhoondh la

 

Male : Koi reh-guzar ya koi gali
Mujhe aaj tak toh nahi mili
Jo mita sake yeh faasla
Jo mita sake yeh faasla

 

Male : Meri saari jawaani le gaya
Aur aankh mein paani de gaya
Jise dohraunga umr bhar
Woh aisi kahaani de gaya

 

Male : Ae guzarne wali hawa tujhe
Hai qasam na aise rula mujhe
Main kahaan se laaun woh dil bata
Jisse ho qubool yeh alvida

 

Male : Main wapas aaunga main wapas aaunga
Phir apne gaon mein pyaar ki chhaon mein
Tarasti aankhon se kisi ki baahon se ke ghar ke raahon se
Kiya jo vaada tha woh nibhaunga

 

Males : Main wapas aaunga main wapas aaunga
Main wapas aaunga

Male : Main wapas aaunga

Chorus : Ho ooo ooo ooo …..

Song Details

Official Video

Share this song: