Chanda Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Chanda Song Lyrics is a track from Bhakshak Hindi Film – 2024, Starring Bhumi Pednekar, Sanjay Mishra, Sai Tamhankar and Aditya Srivastav. This song was sung by Yajat Garg, music composed by Anuj Garg and lyrics written by Anuj Garg.

 

Dialogue : ………………..

 

Female : Chupke-chupke ek khilona toda hai sab ne
Beech dagar mein hum ko akela chhoda hai sab ne

 

Female : Kyun hamara koi nahin is duniya mein?
Sab kehte hai maan rehti aasmaan mein

 

Female : O chanda tere sang kya rehti hai meri maan?
Kya mere baare mein kuchh kehti haimeri maan?
Pukaroo use jo chhupalegi mujhko
Jahan pe koi dekhe na mujhe

 

Female : Kya use kehta hoga ye?
Kahani meri jo tim timata hai taara
Meri aankhon mein rehta hai har pal
Meetha-dhundhla sa sapna tumhara

 

Female : Dar lagta hai andheron se ujaalon se bhi
Chot lage to ro ke chup ho jaate sabhi

 

Female : Nindiya aaye to koi na sulaaye
Nindiya aaye to koi na sulaaye
Chanda-mama paas apne kyun na bulaaye?
Itni si baat humein kyun na tu bataaye?

 

Female : Kehte hai hum jo bhi kya sun leti hai maan?
Kya mere baare mein kuchh kehti hai meri maan?
Maan maan maan maan

 

Female : Pukaroo use jo chhupalegi mujhko
Jahan pe koi dekhe na mujhe

 

Chorus : Kya use kehta hoga ye?
Kahani meri jo tim timata hai taara
Meri aankhon mein rehta hai har pal
Meetha-dhundhla sa sapna tumhara

Song Details

Official Video

Share this song: