Ek Haseena Thi Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Ek Haseena Thi Song Lyrics is a track from Karzzzz Hindi Film – 2008, Starring Urmila Matondkar, Himesh Reshammiya, Shweta Kumar, Dino Morea and Gulshan Grover. This song was sung Himesh Reshammiya and Shreya Ghosal. Music was composed by Himesh Reshammiya and lyrics work penned by Sameer.

 

Male : Aaj iss mubarak mauke par
Mein aap logon ko
Meri aur kamini ki daastan sunana chahta hu
Mohabbat ki daastan..

 

Male : Ek haseena thi ek deewana tha
Kya umar kya sama
Kya zamana tha
Aaaaa….

 

Male : Heyy..heyyy..heyy..
La la la la la la…

 

Male : Ek haseena thi haseena thi
Ek deewana tha deewana tha
Kya umar kya sama
Kya zamana tha
Aaaaa….

 

Male : Ek din wo mile
Female : Roz milne lage
Male : Ek din wo mile
Female : Roz milne lage
Phir mohabbat hui bass qayamat hui
Male : Sunn ke yeh daastan kho gaye tum kahan
Loge hairaan hain kyunki anjaan hain
Female : Ishq ki woh gali baat jiskli chali
Male : Uss gali mein mera aana jaana tha…

 

Male : Ek haseena thi ek deewana tha
Kya umar thi kya sama tha
Kya zamana tha
Ek haseena thi ek deewana tha..

 

Male : Uss hasin ne kaha
Female : Suno jaane wafa
Male : Uss hasin ne kaha
Female : Suno jaane wafa
Yeh falak, yeh zameen
Tere bin kuch nahi
Tujhpe marti hu mein
Pyaar karti hu mein
Tere bin zindagi kuch nahi kuch nahi
Aashiqui mein unka aalam kya suhana tha..

 

Male : Ek haseena thi ek deewana tha
Kya umar thi kya sama tha
Kya zamana tha
Ek haseena thi ek deewana tha..

 

Male : Bewafa yaar ne
Apne mehboob se
Aisa dhokha kiya
Aisa dhokha kiya
Aisa dhokha kiya
Zehar usko diya
Zehar usko diya
Zehar usko diya

 

Male : Marr gaya wo jawan
Marr gaya wo jawan
Ab suno daastan
Janm leke kahin
Fir wo pahucha wahin
Shakal anjaan thi
Akal hairaan thi
Saamna jab hua
Phir wahi sab hua
Saamna jab hua
Phir wahi sab hua
Uspe yeh karz tha
Uska yeh karz tha
Karz to farz apna chukana tha
Hoo..hooo hoo..
La la la la la la…
Hey hey hey hey..
La la la la la la…

Song Details

Official Video

Share this song:

Never miss a beat.

Get the latest hits, new lyricist additions, and trending songs delivered straight to your inbox.