LYRIC

Singers : Rochak Kohli, Armaan Malik and Asees Kaur

Music by : Rochak Kohli

Male : Aji muskura do zara camere pe

Daant bade hi safed lag rahe hain
Muskura do zara camere pe
Daant bade hi safed lag rahe hain
Phool phool ke hum khushi se
Ek se badh kar dedh lag rahe hain

Male : Na fikar na darr
Lage saara shehar apna hi ghar
Jo tum hass kar ke milo o o hoo

Male : Chalo bulawa aaya hai
Aaj yaaron ne bulaya hai
Chalo bulaawa aaya hai
Aaj yaaron ne bulaya hai

Male : Bade naseebon se yeh humne
Yaar kamaya hai
Chalo bulaawa aaya hai
Aaj yaaron ne bulaya hai

Female : Ho yeh mastiyon ke din hain jo do
Kanjoosi mein kharach kare kyun
Kare kyun?….
Ho yeh mastiyon ke din hain jo do
Kanjoosi mein kharach kare kyun
Udaate chalo karne do flow

Both : Jo bhi ho dil mein woh kaho
Ho ho woh kaho ho ho ho..
Aag lag jaaye to lage

Male : Fusfusa do koyi plan ho to
Aaj shararaton ke pech lad rahe hain
Barrier saare to ghusenge
Aaj kahan koyi break lag rahe hain

Both : Na fikar na dar
Lage saara shehar apna hi ghar
Jo tum hass karke milo o o hoo…

Male : Chalo bulaawa aaya hai
Aaj yaaron ne bulaya hai
Chalo bulaawa aaya hai
Aaj yaaron ne bulaya hai

Male : Bade naseebon se yeh humne
Yaar kamaya hai

Male : Chalo bulawa aaya hai
Aaj yaaron ne oh mere yaaron ne
Oh aaj yaaron ne bulaya hai

Male : Yaara tu na jaane
Tu to jaan meri hai
Tujhse main haarun bhi to
Shaan meri hai

Male : Tere aage yaara jahan bhi yeh saara
Kuch nahi nahi kuch nahi nahi

Male : Teri bewakoofiyon mein sath main dunga
Tere liye duniya se roz ladunga
Saath rahenge to galat ko karenge
Hum sahi sahi sab sahi

Male : Lage na gham ki dhoop bhi mujhe
Yaar ka saya hai
Hume to khul ke hassna bhi
Yaari ne sikhaya hai

Both : Chalo bulaawa aaya hai
Aaj yaaron ne bulaya hai
Bade naseebon se yeh humne
Yaar kamaya hai
Chalo bulawa aaya hai
Aaj yaaron ne oh mere yaaron ne
Aaj yaaron ne bulaya hai


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT