LYRIC

Singer : Atif Aslam

Music by : Leo Twins

Lyrics by : Qateel Shifai

Male : Tu mila hai to ye
Ehsaas hua hai mujhko
Tu mila hai to ye
Ehsaas hua hai mujhko

Male : Ye meri umar mohabbat ke liye thodi hai
Ek zara sa gham e dauran ka bhi haq hai jis par
Maine wo saans bhi tere liye rakh chhodi hai

Male : Pyaar ka banke nigehbaan tujhe chahunga
Main to mar kar bhi meri jaan tujhe chahunga
Zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain

Male : Apne jazbaat mein naghmaat rachane ke liye
Apne jazbaat mein naghmaat rachane ke liye
Maine dhadkan ki tarah dil mein basaya hai tujhe
Main tasawur bhi judaai ka bhala kaise karoon
Maine qimsat ki lakiron se churaaya hai tujhe

Male : Tujhpe ho jaaunga qurban tujhe chahunga
Main to mar kar bhi meri jaan tujhe chahunga
Zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain

Male : Humming ………….

Male : Zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain
Main to mar kar bhi meri jaan tujhe chahunga…


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT