Yahin Guzaar Doon Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Yahin Guzaar Doon Song Lyrics is a track from Amaal Mallik Hindi Album -2026, Starring Farrhana Bhatt and Amaal Mallik. This song was sung by Amaal Mallik and Shreya Ghoshal. Music was composed by Amaal Mallik and lyrics work penned by Kunaal Vermaa.

 

 

Female : Ummm aa

 

Female : Iss duniya ke andheron mein
Jab tu mere qareeb aaya
Kuch bhi na tha inn lakeeron mein
Tab tu leke naseeb aaya
Kiya hai kitna tune mere liye
Main kahe jo tu toh hans ke mar jaaun

 

Male : Jo haath yeh rahe tere haath mein
Main saari zindagi yahin guzaar doon

Female : Chale bhi jaaoge toh intezaar mein
Woh shaam aakhiri yahin guzaar doon

 

Male : Iss duniya ke andheron mein
Jab tu mere qareeb aaya
Kuch bhi na tha inn lakeeron mein
Tab tu leke naseeb aaya

 

Male : Mujhe yaad hai woh din aaj bhi
Main chalke tere paas aaya tha
Nahi tha koi jahaan mein mera
Tune hi gale lagaya tha
Ho mila jo tu toh har khushi mil gayi hai
Ab iss se zyada aur kya maangu

 

Female : Jo haath yeh rahe tеre haath mein
Main saari zindagi yahin guzaar doon

Male : Chale bhi jaaogе toh intezaar mein
Woh shaam aakhiri yahin guzaar doon

 

Female : Koi aisa pal jiya hi nahi
Jiss mein tera naam na liya
Tere ho gaye toh humne, sanam
Sab se faasla bana liya
Haan tera mera safar kabhi na khatam ho
Bhale hi saanson se bichhad jaaun

 

Both : Jo haath yeh rahe tere haath mein
Main saari zindagi yahin guzaar doon
Chale bhi jaaoge toh intezaar mein
Woh shaam aakhiri yahin guzaar doon

Song Details

Official Video

Share this song: