LYRIC

Singer : Arijit Singh

Music by : Chirantan Bhatt

Lyrics by : Junaid Wasi

Male : Meri kismat ke
Har ek panne pe
Mere jeete ji
Baad marne ke
Mere har ek kal
Har ek lamhe mein
Tu likh de mera use

Male : Har kahani mein
Saare kisson mein
Dil ki duniya ke
Sacche rishton mein
Zindagani ke
Saare hisson me
Tu likh de mera use

Male : Aye khuda aye khuda
Jab bana uska hi bana
Aye khuda aye khuda
Jab bana uska hi bana…

Male : Uska hoon us mein hoon
Usse hoon usi ka
Rehne de..
Main toh pyasa hoon hai dariya
Wo zariya woh jeene
Ka mere
Mujhe ghar de gali de
Shehar de usi ke
Naam ke
Kadam yeh chalen
Ya ruken ab usi ke
Vaaste

Male : Dil mujhe de agar
Dard de uska par
Uski ho woh haseen
Gunje jo mera ghar

Male : Aye khuda aye khuda
Jab bana uska hi bana
Aye khuda aye khuda
Jab bana uska hi bana

Male : Mere hisse ki khushi ko
Haseen ko tu chahe
Aadaha kar..
Chahe lele tu meri
Zindagi par ye mujhse
Vaada kar…
Uske ashkon pe gumon pe
Dukhon pe har uske
Zakhm par
Haq mera hi rahe har jagah
Har ghadi haan
Umar bhar

Male : Ab fakht ho yahi
Woh rahe mujh mein hi
Woh juda kehne ko
Bichdde na par kabhi

Male : Aye khuda aye khuda
Jab bana uska hi bana
Aye khuda aye khuda
Jab bana uska hi bana

Male : Meri kismat ke
Har ek panne pe
Mere jeete ji
Baad marne ke
Mere har ek kal
Har ek lamhe mein
Tu likh de mera use

Male : O… aye khuda
Aye khuda khuda khuda
O… khuda…..


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT