LYRIC

Music By : Vishal Bhardwaj

Singers : Padmanabh Gaikwad

Male : hmm hmm mm…

Male : Sapna re sapna, hai koi apna
Ankhiyon mein aa, bhar jaa
Ankhiyon ki dibiya bhar de re nindiya
Jaadu se jaadu kare jaa
Sapna re sapna, Hai koi apna
Ankhiyon mein aa bhar jaaa na
Ankhiyon ki dibiya bhar de re nindiya
Jaadu se jaadu kare jaaa na

Male : Bhoore bhoore baadalon ke bhaalu
Loriyaan sunaaye la ra ra ru (x2)

Male : Taaron ke kanchon se, raat bhar khelenge
Sapno mein chanda aur tu
Sapna re sapna, Hai koi apna
Ankhiyon mein aa bhar jaa

Male : Peele peele kesari hain gaanv
Geeli geeli chandni ki chhanv (x2)

Male : Bagulon ke jaise re doobe huey hain re
Paani mein sapnon ke paanv

Male : Sapna re sapna, Hai koi apna
Ankhiyon mein aa bhar jaa
Ankhiyon ki dibiya
Bhar de re nindiya
Jaadu se jaadu kar ja
Sapna re sapna (Sapna re sapna)
Ankhiyon ki deebiya (Ankhiyon ki deebiya)
Sapna re sapna… hmm hmm mm
Ankhiyon ki deebia hmm hmm mm


Added by

Thendral

SHARE

ADVERTISEMENT