LYRIC

Singer : Sharvi Yadav

Music by : Christophe Beck and Frode Fjellheim

Lyrics by : Kausar Munir

Female : Andhera hai dekha
Par esa nahi
Esa sakht
Esa sard
Esa dard

Female : Khatm huyi kahani
Lo buj gayi
Le andhere
Mai aakhir ho gayi sard

Female : Hum dono ka ye saath
Kyu toot gaya
Haath se haath ye chhuta kyu
Ye gam
Mera dum bhi ghut raha hai

Female : Par dil mera
Kehta hai sun le tu
Kho gayi hai dagar
Chalte jaa tu magar
Bas utha sahi ek qadam

Female : Din kaha gaya
Bas raat hai
Raat kya din hai kya
Kya kahu

Female : Tu hi to tha kinara
Ab kaun hai
Tere bina bata
Mai kya karu

Female : Kate kaise safar
Sang na jo humsafar
Hai uthana sahi ek qadam
Tu qadam se zara
Ek qadam to mila
Tu utha sahi ek qadam

Female : Dagmagaye raasta
Gir na jaan tu kahi
Baandh ke bas hausla
Utha qadam badha qadam
Bas ab rukna nahi

Female : Chalte ja tu waha
Roshni dikhe jaha
Aur utha sahi ek qadam
Mil bhi jaaye manzil agar
Kya mil gaya jo kho gaya
Wo mera aasmaan mera ghar

Female : Fir bhi chalte jaa
Aage badhte jaa
Aur tu utha
Qadam ek sahi…


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT