Ranabaali Aa Ja Song Lyrics
Lyrics in Hinglish
Ranabaali Aa Ja Song Lyrics is a track from Ranabaali Hindi Film-2026, Starring Vijay Deverakonda, Rashmika Mandanna, Arnold Vosloo and Others. This song was sung by Vishal Dadlani and Parvathi Meenakshi. Music was composed by Ajay-Atul and lyrics work penned by Kshitij Patwardhan.
Music : ………………..
Male : Jab kabhi dhuan jalti saanson ka aasmaan pe chhayega
Cheer daaliye seena kaal ka bijli banke aayega
Baanjh dharti jab hogi arthi pe praan usmein phoonkega
Saap paap ke raund raund ke fan pe uske naachega
Male : Mitti ka laal tu
Chorus : Laaj iski sambhaal tu
Male : Sookhe hain aansoo bhi
Chorus : Khatm kar de akaal tu
Male : Haari hui har saans ki tu aas aakhiri
Chorus : Ranbaali aaja hum ruke hain teri raah mein
Ranbaali tu hi hai ujala andhkaar mein
Ranbaali tere saath hain na hate kadam
Ranbaali aaja hum jhuke na hai kasam
Music : ……………….
Male Chorus : Tarse hue bhookh se chehre khil gaye hain phir se
Chheeni hui haath se roti mil gayi hai phir se
Male : Zanjeerein jaise aaj pighal gayi hain
Taqdeer maathe ki badal gayi hain
Ye man ye tan ye praan bhi naam hain tere
Male and Chorus : Ranbaali aaja hum ruke hain teri raah mein
Ranbaali tu hi hai ujala andhkaar mein
Ranbaali tere saath hain hum na hate kadam
Ranbaali aaja hum jhuke na hai kasam
Female : Poorab ki god mein ujla
Chorus : Sooraj tu dikhla
Female : Paschim ki bediyaan pighla
Chorus : Shola hai tapta
Male Chorus : Phaila hai tera tej dishaon mein
Tere hi geet hain hawaon mein
Badhti hui is dhoop mein bas chhaav hai tu hi
Male and Chorus : Ranbaali aaja hum ruke hain teri raah mein
Ranbaali tu hi hai ujala andhkaar mein
Ranbaali tere saath hain hum na hate kadam
Ranbaali aaja hum jhuke na hai kasam