LYRIC

Singer : Lata Mangeshkar

Music by : Naushad Ali

Lyrics by : Shakeel Badayuni

Female : Phir teri kahani yad aayi phir
Tera fasana yad aaya
Phir aaj humari aankho ko
Phir aaj humari aankho ko
Ek khwab purana yad aaya
Phir teri kahani yad aayi

Female : Jalate hain chirago ki surat
Har sham teri ham yado me
Jab subah ko shabanam roti
Hai kho jate hain ham fariyado me
Kho jate hain ham fariyado me

Female : Jab dil ne koyi aawaj suni
Jab dil ne koyi aawaj suni
Tera hi tarana yad aaya
Phir teri kahani yad aayi…

Female : Shayad kabhi milana ho jaye
Baithhe hain isi arman me ham
Tune toh kinara pa hi liya
Ulajhe hain magar tufan me ham

Female : Ai jana-e-wafa phir aaj hame
Ai jana-e-wafa phir aaj hame
Pichhala woh jamana yad aaya
Phir teri kahani yad aayi
Phir tera fasana yad aaya….


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT