Nindiya Pari Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Nindiya Pari Song Lyrics is a track from Gandhi Talks Hindi Film -2026, Starring Vijay Sethupathi, Arvind Swamy, Aditi Rao Hydari, Siddharth Jadhav and Others. This song was sung by Khatija Rahman and Sarthak Kalyani. Music was composed by A. R. Rahman and lyrics work penned by Vishwadeep Zeest.

 

 

 

Female : Aur hai mere paas kya
Sirf aahon ke siva
Tujhse agar ho paaye to
Itna sa kaam kar dena
Wo aasmaan le ke tum
In nainon ke taaron mein aa
Nindiya pari raaton mein aa

 

Male : Nindiya pari raaton mein aa
Nindiya pari raaton mein aa
Aa meri gudiya ki aankhon mein aa
Nindiya pari raaton mein aa
Aa meri gudiya ki aankhon mein aa
Nindiya pari raaton mein aa

 

Male : Dard nahin bas neend se
Ye palken bojhal rahein
Dard nahin bas neend se
Ye palken bojhal rahein
Aansoo hain kya na ho pata
Aankhon se ojhal rahein
Gudiya ko sapna de itni araj sun le
Aa meri in meethi baaton mein
Nindiya pari raaton mein aa

 

Female : Aur hai mere paas kya
Sirf aahon ke siva
Tujhse agar ho paaye to
Itna sa kaam kar dena
Wo aasmaan le ke tum
In nainon ke taaron mein aa
Nindiya pari raaton mein aa

 

Male : Phir subah jab neend khule
Phoore hon sapne sabhi
Gair na ho koi kahin
Ban jaayen apne sabhi
O re jahaan aaya bada
Bitiya ki nanhi baahon mein aa
Nindiya pari raaton mein aa
Aa meri gudiya ki aankhon mein aa
Nindiya pari raaton mein aa

 

Female : Aur hai mere paas kya
Sirf aahon ke siva
Tujhse agar ho paaye to
Itna sa kaam kar dena
Wo aasmaan le ke tum
In nainon ke taaron mein aa
Nindiya pari raaton mein aa

Song Details

Official Video

Share this song: