Mujhe Pata Hai Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Mujhe Pata Hai Song Lyrics is a track from Miclody Hindi Album -2026, Starring NA. This song was sung by Miclody. Music was composed by Miclody and lyrics work penned by Sana Fahad.

 

 

Male : Mujhe pata hai wafa nahi hai
Na uske jumle na uska chehra
Na uski ankhain na muskurahat
Kahin nahi hai
Mujhe pata hai

 

Male : Main apnay hisay ke dard sare
Usay dikha kar bhi kya karunga?
Na wo yahan hai na wo kabhi tha
Ye uska hona bhi aarzi hai
Wo jo mera tha wo ab nahi hai
Mujhe pata hai

 

Male : Ye haal mera hai mera hasil
Bohat junoon say paray sukoon say
Ye mainy seencha hai hasraton say
Usay bata ke isay bhi rondun?
Chalo ye tazleel bhi chalay gi
Yehi sahi hai
Mujhe pata hai

 

Male : Sukun ke lamhay khushi ke manzar
Main us jahan say hoon bhag aya
Yahan to jo bhi hai, bezameen hai
Wo chahay mai hoon ya aur koi
Main ye na manun to munkari hai
Mujhe pata hai

 

Male : Hasab shanas aur mizaj waqif
Na mai kabhi tha na ab bhi hunga
Bohat say logon say chot kha ke
Wahin khara hun jahan kabhi tha
Ye mera andaz e khudsari hai

 

Male : Mujhe pata hai
Ke kuch bhi ho par
Wafa nahi hai kahin nahi hai

Song Details

Official Video

Share this song:

Never miss a beat.

Get the latest hits, new lyricist additions, and trending songs delivered straight to your inbox.