Matwali Ghatao Song Lyrics
Lyrics in Hinglish
Matwali Ghatao Song Lyrics is a track from Hanste Rehna Hindi Film – 1950, Starring Sawant, Arvind Kumar, Mumtaz, Habib, Mukri and Hira. This song was sung by Khan Mastana and Sulochana Kadam. Music was composed by Wadhwa and lyrics work penned by Indeevar (Shyamalal Babu Rai).
Male : Matwali ghatao
Matwali ghatao
Zara tum jhum ke aana
Khushiyon ka zamana hai yeh
Khushiyon ka zamana
Matwali ghatao
Zara tum jhum ke aana
Khushiyon ka zamana hai yeh
Khushiyon ka zamana
Female : Kaliya meri armano ki
Muskane lagi hai
Reh reh ke nigahe meri
Sarmane lagi hai
Aji sarmane lagi hai
Dekha hai in aankho ne
Dekha hai in aankho ne
Koi khwab suhana
Khushiyon ka zamana hai yeh
Khushiyon ka zamana
Male : Matwali ghatao
Zara tum jhum ke aana
Both : Khushiyon ka zamana hai yeh
Khushiyon ka zamana
Male : Nazro ko meri aaj
Tum pahchan gaye ho
Kehte hai mohabbat kise
Tum jaan gaye ho
Aji tum jaan gaye ho
Ab itni si vinti hai
Ab itni si vinti hai
Kahi door na jana
Khushiyon ka zamana hai yeh
Khushiyon ka zamana
Matwali ghatao
Zara tum jhum ke aana
Both : Khushiyon ka zamana hai yeh
Khushiyon ka zamana
Female : Shikwa kabhi hum zurm
Sitam ka nahi karte
Male : Hum chahe wale
Nahi dukh dard se darte
Nahi dukh dard se darte
Both : Ulfat ne sikhaya hai
Ulfat ne sikhaya hai
Hume ranj uthana
Khushiyon ka zamana hai yeh
Khushiyon ka zamana
Matwali ghatao
Zara tum jhum ke aana
Khushiyon ka zamana hai yeh
Khushiyon ka zamana…
Hindi lyrics are not available for this song yet.