LYRIC

Singers : Arijit Singh, Shreya Ghoshal and Keerthi Sagathia

Music by : Shankar-Ehsaan-Loy

Lyrics by : Varun Grover

Female : Pehli dafa jo mili hai
Yeh shaam hai baawali si
Tu saath hai to piya ji
Reitein bhi hain makhmali si

Male : Ho pehli dafa jo mili hai
Yeh shaam hai baawali si
Tu saath hai to piya ji
Reitein bhi hain makhmali si

Female : Tasveer se baahar
Tu yun aaya hai
Tu yun aaya
Tasveer se baahar samne

Male : Yeh ambar nadiyan
Sab mann ki galiyan
Haan ambar nadiyan
Mann ki galiyan sab ho gaye

Female : Makhmali makhmali
Pyar tera makhmali
Male : Makhmali makhmali
Pyar tera makhmali

Female : Saanwre tera saath hai sandli

Male : …………………………

Female : Tere sang hain jugnu bhi taare
Tere sang meethe kuyein saare
Male : Tere sang humne jo manga re
Sab hi mukammal hua

Female : Ho tere raaste pe jo chale hain
Teri aadaton mein yun dhale hain
Male : Tere sang hain to hum bhale hain
Yeh humko haasil hua

Female : Main prem ki chhaya
Tu poori kaya
Hum chhaya kaya
Ek dooje mein kho gaye

Male : Teri saans ki dastak
Se jaan ki hadh tak
Haan saans se lekar
Jaan ki hadh tak
Hum ho gaye

Female : Makhmali makhmali
Pyar tera makhmali
Male : Makhmali makhmali
Pyar tera makhmali

Male : Makhmali
Female : Pyar tera makhmali


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT