Kisi Ko Yaad Karta Hai Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Kisi Ko Yaad Karta Hai Song Lyrics is a track from Madhubala Hindi Film – 1950, Starring Dev Anand, Madhubala, Jeevan, Randhir Kapoor, Ram Avtar, Manju, Bake Bihari, Ramesh Thakur and Others. This song was sung by G. M. Durrani . Music was composed by Lachhiram Tamar and lyrics work penned by Ishwar Chandra Kapoor.

 

 

Male : Kisi ko yaad karta hai
Mera dil raat din
Haye mera dil raat din
Akela aahe bharta hai
Mera dil raat din
Haye mera dil raat din

 

Male : Chaman mein agar bahar aaye
Hame kya
Kali agar phool ban jaye
Hame kya
Chaman mein agar bahar aaye
Hame kya
Kali agar phool ban jaye
Hame kya

 

Male : Kali agar phool ban jaye
Hame kya
Chahak kar aam ki dali pe bulbul
Khushi ke geet agar gaye
Hame kya hame kya

 

Male : Judai me tadapta hai
Mera dil raat din
Kisi ko yaad karta hai
Mera dil raat din
Haye mera dil raat din
Akela aahe bharta hai
Mera dil raat din
Haye mera dil raat din

 

Male : Ye aasu aankh mein
Jo aa rahe hai
Fasana ishk ka dohra rahe hai
Ye aasu aankh mein
Jo aa rahe hai
Fasana ishk ka dohra rahe hai

 

Male : Tujhe meri kasam ik bar aaja
Aaja
Tujhe meri kasam ik bar aaja
Sandeshe maut ke bhi
Aa rahe hai aa rahe hai

 

Male : Yahi fariyaad karta hai
Mera dil raat din
Kisi ko yaad karta hai
Mera dil raat din
Haye mera dil raat din
Akela aahe bharta hai
Mera dil raat din
Haye mera dil raat din…raat dinnn

Song Details

Official Video

Share this song: