LYRIC

Singer : Lata Mangeshkar

Music by : Madan Mohan

Lyrics by : Raja Mehandi Ali Khan

Female : Jiya le gayo ji mora sanwariya
Jiya le gayo ji mora saanwariya
Laagi man mein lagan hui baawariya
Jiya le gayo ji mora sanwariya
Jiya le gayo ji mora saanwariya

Female : Pa ni ni ni re re re ma ma
Ma dha pa ma pa re
Ni re re re ma ma ma dha dha
Dha saa ni dha ni sa

Female : O papihe.. o papihe
Tune papihe nahin dekhe more sainyaan
Dekhe to le lega unki balaiyaan
Tune papihe nahin dekhe more sainyaan
Dekhe to le lega unki balaiyaan

Female : Ja re deewane maar na taane
Piya ki sun ja ke baansuriya
Jiya le gayo ji mora sanwariya
Jiya le gayo ji mora sanwariya

Female : Aa..
Saamne aaye to main aankhon mein chhupa loon
Thaam ke bahinyaan unhein dil mein bitha loon
Saamne aaye to main aankhon mein chhupa loon
Thaam ke bahinyaan unhein dil mein bitha loon

Female : Shaam savere saath ho mere
Gori ke sang jaise gaagariya
Jiya le gayo ji mora sanwariya
Laagi man mein lagan hui baawariya
Jiya le gayo ji mora sanwariya


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT