LYRIC

Singer : Armaan Malik

Music by : Armaan Malik

Lyrics by : Rashmi Virag

Male : Aaye the iss tarah se tum
Jaise koi ho khwab naya
Bas yaadein reh gayi dekho
Hum mein tumne jo tha na raha

Male : Haan puchta hu mein khud se
Door kyun raha tujhse
Jaate jaate sunle tu zara

Male : Labon pe naam hai tera
Haan dil mein yaad hai teri
Tu mera na hua to kya
Tu phir bhi jaan hai meri

Male : Labon pe naam hai tera
Haan dil mein yaad hai teri
Tu mera na hua to kya
Tu phir bhi jaan hai meri

Male : Tujhko apna kabhi
Kehne se pehle socha nahi
Khwab mein bhi tera
Dil tod paaya nahi

Male : Maine ye zindagi
Tere hi naam likh di meri
Kismaton se tujhe par
Jod paaya nahi

Male : Puchta hu main khud se
Aur kya kahun tumse
Jo tujhe bana de bas mera

Male : Labon pe naam hai tera
Haan dil mein yaad hai teri
Tu mera na hua to kya
Tu phir bhi jaan hai meri

Male : Jis din ye tujhe bhul gaya
Uss din tham jaayega
Ye dil kuch na kar paayega
Kya ek pal bhi jee paayega

Male : Meri tarah tujhko jab
Ek din ho hi jaayega
Ishq tab samajh mein aayega
Tu khud ko rok na paayega

Male : Aaoge ek din chalke
Meri raahon pe tum dekhna

Male : Ho dhadkano ko saanso ko
Inn akeli raaton ko
Intezaar kabse hai tera

Male : Labon pe naam hai tera
Haan dil mein yaad hai teri
Tu mera na hua to kya
Tu phir bhi jaan hai meri

Male : Labon pe naam hai tera
Haan dil mein yaad hai teri
Tu mera na hua to kya
Tu phir bhi jaan hai meri


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT