LYRIC

Singers : Mohammed Rafi and Suman Kalyanpur

Music by : Laxmikant-Pyarelal

Lyrics by : Anand Bakshi

Male : Qaraar khoyaa
Mohabbat mein
Is zamaane ne
Yeh baat sach hi kahi hai
Kisi deewaane ne

Male : Ke jaan chali jaaye
Jiyaa nahin jaaye
Jiyaa jaaye to phir
Jiyaa nahin jaaye
Ke jaan chali jaaye
Jiyaa nahin jaaye
Jiyaa jaaye to phir
Jiyaa nahin jaaye

Female : Yeh ilzaam sar pe
Liyaa nahin jaaye
Liyaa jaaye to phir
Jiyaa nahin jaaye

Male : Ke jaan chali jaaye
Ho ooooo…

Male : Zamaane mein nahin
Deewaana ham saa
Zamaane mein nahin
Deewaana ham saa
Deewaana nahin yeh
Zamaana ham saa

Male : Yeh kya jaane yeh kya samjhe
Yeh baaten pyaar ki
Yeh kya jaane yeh kya samjhe
Yeh baaten pyaar ki

Female : Ooo
Ke pyaar har kisi se
Kiyaa nahin jaaye
Kiyaa jaaye to phir
Jiyaa nahin jaaye

Male : Ke jaan chali jaaye
Ho o o o…

Female : Na aaye kabhi neend
Na aaya hai qaraar
Na aaye kabhi neend
Na aaya hai qaraar
Hamaari taubaa ham
Nahin karenge pyaar
Bas laao dil hamaara
Ham ko de do o sanam
Bas laao dil hamaara
Ham ko de do o sanam

Male : O o
Yeh dil le ke waapas
Diyaa nahin jaaye
Diyaa jaaye to phir
Jiyaa nahin jaaye
Ke jaan chali jaaye
Ho o o

Male : Churaa ke nazren
Na dekho tum yeh phool
Churaa ke nazren
Na dekho tum yeh phool
Suno yeh be-rukhi
Hamen nahin qubool
Yaa ham jaayen yaa kehdo
Yeh bahaar chali jaaye
Yaa ham jaayen yaa kehdo
Yeh bahaar chali jaaye

Female : O o o
Bahaar chali jaaye
Piyaa nahin jaaye
Piyaa jaaye to phir
Jiyaa nahin jaaye

Both : Ke jaan chali jaaye
Jiyaa nahin jaaye
Jiyaa jaaye to phir
Jiyaa nahin jaaye
Ke jaan chali jaaye
Ooooooo….


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT