Govardhan Girdhari Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Govardhan Girdhari Song Lyrics is a track from Narci Hindi Album – 2025, Starring NA. This song was sung by Narci and Divya Kumar. Music was composed by Xzeus and lyrics work penned by Narci.

 

 

Male : Hey bansuri ki dhun par jhoome naache jag saara
Hey bansuri ki dhun par jhoome naache jag saara

 

Male : Chalo dwapar ke vrindavan mein
Leela sunata hoon fir se tumhe
Leela anek par ab main bataunga
Shachipati ko kyun kanha chubhe

 

Male : Pooja ki tyari mein saare they vyast
Tyari ko dekh kiya kanha ne vyakt
Rahe vilaas mein dooba jo samast
Kaise wo dev zara bolo ye sab

 

Male : Kanha ko log they yehi batate
Indra ki aise na stuti hai gaate
Meghon ke raja wo hue jo rusht
To vrindavan vaasi reh jayenge pyaase

 

Male : Kanha to bole hey stree va purush
Prabhu kab dete hai logon ko kasht
Prabhu to harte hai peeda ko ulta
Prabhu to bhakton se hote na rusht
Gusse mein bhala wo honge kyun garm
Varsha to indr ka dena hai dharm
Hari aadeshon ko karte hai paalan

 

Male : Swyam nahi wo hari hai par
Govardhan ki pooja kare
Jahan pe saaron ki gaiya chare
Kare govardhan ka milke aabhaar
Jisse chale vrindavan ka vyapaar
Pahaunche samvartak indra ke dwar
Sunaya unhone tha ye samachaar

 

Male : Indra ka utha tha krodh kuch aise
Jaise haan sagar mein prakhar jwar
Bola ki kaise dussaahas hua
Nirnay ye logon ka ghaatak hua
Kiske haan kehne pe tyaga mujhe
Aisa bhala kaun shaasak hua
Bola samvartak hai balak koi

 

Male : Nand ka beta na nayak koi
Kehte hai krishn use sabhi
Sabko manaane karan wohi
Shachipati ka jaga tha kop
Raha tha gusse mein yehi wo soch
Pooja na kari thi meri inhone
Saare sahenge ab mera prakop

 

Male : Chakr utha ke jisne chakar utha ke jisne
Badali samay ki dhara dhara dhara

 

Males : Mera krishna kanhaiya kaara
O mera krishna kanhaiya kaara
Mera krishna kanhaiya kaara
O mera krishna kanhaiya kaara

 

Male : Diya samvartak ko fir tha aadesh
Nikaalo tumhare wo pralay ke megh
Logon ke gaanv mein karo pravesh
Indra ka thama na zara bhi dvesh

 

Male : Dikha do vipatti ka aisa asar
Varsha mein choro na koi kasar
Paani ka kar daalo ooncha haan star
Paani se bhar daalo saaro ke ghar

 

Male : Galti bhi jayegi tabhi sudhar
Dekhenge jab aisa ye darr
Kaampenge logo ke tabhi adhar
Indra ko poojega tabhi to swar

 

Male : Chala samvartak karne ko naash
Aandhi ko bheje wo khade aakash
Dekha tha logon ka jaise hi traas
Bijli ka karta tha wo to prakaash

 

Male : Logon ne bola ye kya kiya kanha
Krodh mein baithey hai meghon ke raja
Kyun hi thi maani baat tumhaari
Rokoge kaise haan naash bhi taaza

 

Male : Sabko haan bole they kanha atal
Hrdy mein chinta ko lena na bhar
Chalo govardhan ko bole they wo
Parvat hi banega raksha ka ghar

 

Male : Bole govardhan ko jhuka ke sar
Aaye sharan mein naari aur nar
Karo sahayog bola unhe
Parvat ke neeche laga daala kar

 

Male : Hari se chalta hai saara sansaar
Logon ki sune wo kyun na guhaar
Ek hi anguli pe rakha prabhu ne
Dekho govardhan ka saara hi bhaar

 

Male : Leela ye dekh saare achambhit
Parvat ke neeche they saare upasthit
Samay tha hari ki leela se ranjit
Megho ka raja bhi hua prakampit

 

Male : Govardhan ke neeche padhaare
Gaiya ki bheed saare gvaale
Shachipati na khud ko sambhale
Baitha airavat mein khaata ubaale

 

Male : Baitha airavat mein vajr nikaale
Wo to govardhan pe bijli ucchale
Hari ne sahi na uski kriya
Kari paraajay thi uske hawale

 

Male : Vrindavan ka tu nandan
Mathura ka tu manmohan
Tu pritam hai gopiyon ka
Tan man dhan tujhko arpan

 

Male : Hari ko jaise wo gaya pehchaan
Bola ksham karo kripa nidhaan
Samjha tha main jise balak naadan
Wo they saare srshti ke praan
Indra ko jaise hi hua tha gyaan
Hari ne diya tha ksham ka daan
Hari ki yog maya mein fas
Saka nahi tha wo unhe pehchaan
Kshma na hoga par wo vichaar
Jahan baja abhimaani sitar

 

Male : Jo tha kartvy tumhe nibhaana
Use they maan baithey adhikaar
Indra they bole ye bhool prabhu
Kshma karo hey shreenivaas
Dharm nibhana main gaya tha bhool
Andha hua tha prabhu ka daas
Maa kaamdhenu hui prakat

 

Male : Boli ki jaagi hai gyaan lapat
Kshma karo ab dayaanidhi
Gaya tha daas thoda bhatak
Suni thi maata ki jaise hi baat
Hari ka gussa bhi hua tha shaant
Kiya kshma fir meghon ke raja ko
Laga ki naya sa hua prabhaat

 

Male : Tu yashoda ka baala
Tu nand ka dulara

 

Males : Mera krishna kanhaiya kaara
O mera krishna kanhaiya kaara
Mera krishna kanhaiya kaara
O mera krishna kanhaiya kaara

 

Male : Is srshti ka bas tu hi
Bas tu hi ek sahara

Song Details

Official Video

Share this song: