LYRIC

Singer : Shivai Vyas

Music by : Shivai Vyas

Male : Tera raasta dekhti hain aankhein
Aur tera hi intezaa karein
Agar aa jaaye tu saamne
Tera hi deedaar karein
Teri aankhon ko meri aankhon ne
Chupke se sab kuch kehna hai
Tujhko sab apna maan kar
Tere dil mein hi bas rehna hai

Male : Rootha hai dil toota toh nahi
Toota bhi ho jhoota to nahi
Mere dil ko tujhse pyaar hai
Tere dil ko mujhse pyaar hai

Male : Haan ho gayi galti mujhse
Main jaanta hoon
Par ab bhi tujhe main
Apni jaan maanta hoon
Ek aakhiri mauka de mujhe
Aaj bhi main tujhe
Apni shaan maanta hoon

Male : Jaan maanta hoon… haaye…

Male : Haan galti kardi maine
Par diya pyaar bhi kitna maine
Main insaan hoon
Naa bhagwan hoon
Galti hi ki hai kiya na gunaah maine
Jhagda hai pehla
Isey akhiri na hone dunga
Galti bhi maan li maine
Aise jaane na dunga

Male : Sach ye naraazgi hai
Maine tera dil dukhaya
Par jaan le itna tu bhi
Tere bin main reh na paaya
Yaadon mein teri aankhein
Aankhon mein teri yaadein
Dhoondein tera chehra din bhar
Phir raat ko teri yaadein
Yaadein pagal ho gayi
Inko samjhaaun kaise
Kitna hai pyaar raani
Kaise bataaun kaise…

Male : Kaise… haan…

Male : Mujhmein nahin hoon main tere bina
Tujhse hi hoon main o meri jaan
Tu mohabbat tu hai jannat
Teri zaroorat hai yahaan
Teri khaamoshi hai leti
Jaan mere haan iss dil ki
Saans bhi na le sakoon main
O jaane jaan tere bina
Teri yaadon ko kisi kone mein
Chhupa nahi sakta hoon main
Tere chehre ki woh muskaan ko
Bhula nahi sakta hoon main

Male : Haan ho gayi galti mujhse
Main jaanta hoon
Par ab bhi tujhe main
Apni jaan maanta hoon
Ek aakhiri mauka de mujhe
Aaj bhi main tujhe
Apni shaan maanta hoon


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT