Dil Jaanta Hai Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Dil Jaanta Hai Song Lyrics is a track from The Kumar Sanu Official Hindi Album – 2025, Starring Kumar Sanu and Akriti Kakar. This song was sung by Kumar Sanu and Akriti Kakar. Music was composed by Raja Ali and lyrics work penned by Raghib Irshad.

 

Male : Meri jaan hai
Meri jaan hai

 

Male : Dil jaanta hai ye maanta hai
Aisa haseen na koi bana hai
Female : Tu jo mila hai kuch to hua hai
Saanson mein jaise shaamil hua hai

 

Male : Woh hi meri rehnuma hai
Woh hi lafzon ki zubaan hai
Female : Mujhmein mera kuch kahaan hai
Tumse hi har dastaan hai

 

Male : Mere dil ka jo sukoon hai itmenaan hai
Meri jaan hai
Woh meri jaan hai
Female : Meri jaan hai
Woh meri jaan hai
Male : Dil jaanta hai ye maanta hai
Aisa haseen na koi bana hai

 

Male : Saari zindagi tujhe
Pyaar karta rahun
Teri muskurahaton pe
Main toh marta rahun

 

Female : Har dua mein hi
Tera zikr karti rahun
Khud se bhi main
Zyada teri fikr karti rahun

 

Male : Arsh se farsh pe hai aayi
Meri aankhon ka noor laayi
Female : Rab ne tujhse hi milaya
Teri khaatir mujhe banaaya

 

Male : Jisse meri ab jahaan mein pehchaan hai
Meri jaan hai
Woh meri jaan hai
Female : Meri jaan hai
Woh meri jaan hai

 

Male : Dil jaanta hai ye maanta hai
Aisa haseen na koi bana hai
Female : Tu jo mila hai kuch to hua hai
Saanson mein jaise shaamil hua hai

 

Male : Woh hi meri rehnuma hai
Woh hi lafzon ki zubaan hai
Female : Mujhmein mera kuch kahaan hai
Tumse hi har dastaan hai

 

Male : Mere dil ka jo sukoon hai itmenaan hai
Meri jaan hai
Woh meri jaan hai
Meri jaan hai
Woh meri jaan hai

 

Both : Meri jaan hai
Haan meri jaan hai
Meri jaan hai
Woh meri jaan hai

Song Details

Official Video

Share this song: