LYRIC

Singers : Payal Dev and Yasser Desai

Music by : Aditya Dev

Lyrics by : Kunaal Vermaa

Female : Tu saamne ho jahan bhi main jaun
Saanson se lun naam jyada tera
Teri nigahon mein main muskuraun
Har dard tera ho aadha mera

Male : Khwaab mumkeen hua raat se din hua
Sirf tum aur hum hai ab yahan

Male : Maine aasman pe likh diya
Tu hai meri main hun bas tera
Reet se samandar ki tarah
Ab yeh ishq hoga bepanah

Female : Maine aasman pe likh diya
Main teri hun tu hai bas mera
Ho reet se samandar ki tarah
Ab yeh ishq hoga bepanah

Male : Manzilein na jaane kitne
Raaston ke baad aayi hai
Bekhatam mulaaqatein sau
Faaslon ke baad aayi hai

Female : Yeh hawayein jaane kitne
Mausamon ke baad aayi hai
Rahatein humare dil ko
Sau ghamon ke baad aayi hai

Male : Zindagi ke liye maangte the tujhe
Tu meri zindagi bann gaya

Female : Maine aasman pe likh diya
Main teri hun tu hai bas mera
Ho reet se samandar ki tarah
Ab yeh ishq hoga bepanah

Male : Maine aasman pe likh diya
Tu hai meri main hun bas tera
Reet se samandar ki tarah
Ab yeh ishq hoga bepanah


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT