Bata Aye Chand Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Bata Aye Chand Song Lyrics is a track from Meharbani Hindi Film – 1950, Starring Ajit, Gope, Indu Pal, Begum Para, Shanta Pawar, Yakub and Others. This song was sung by Talat Mahmood and Lata Mangeshkar. Music was composed by Hafiz Khan and lyrics work penned by Anjum Pilibhiti.

 

Male : Bata aye chand ab kaise
Kahe hum dasta apni
Bata aye chand ab kaise
Kahe hum dasta apni

Female : Kare jo aah bhi to
Kat jati hai juba apni
Kare jo aah abhi to
Kati jati hai juba apni

 

Female : Na hum apne na tum apne
Na dil apna na ja apni
Na dil apna na ja apni
Na jane bhul aaye
Zindagi pichhli kaha apni
Na jane bhul aaye
Zindagi pichhli kaha apni

Male : Jo mil jao bata de hum
Mohabbat ki wo manjil bhi
Mohabbat ki wo manzil bhi
Huyi thi dil ki kuch baate
Nigaho mein jaha apni
Huyi thi dil ki kuch baate
Nigaho mein jaha apni

 

Male : Tumhari yaad mein kate
Nahi katati hai ab raate
Nahi katti hai ab raate

Female : Hume ab bhul jao
Aur ab bichhdi mulakate

 

Male : Tumhe khushiya mubarak ho
Hume tanhaiya apni
Tumhe khushiya mubarak ho
Hume tanhaiya apni
Bata aye chand ab kaise
Kahe hum dasta apni

Female : Kare jo aah bhi to
Kat jati hai juba apni…

Song Details

Official Video

Share this song: