LYRIC

Singers : King and Zaeden

Music by : KSHMR

Lyrics by : King and Zaeden

Male : Na jaane main ye ab kaise
Mujhe ye kya ho gaya
Main tera ho gaya
Kyon aisa lage jaise

Male : Aawara sa main
Tune ye kya kar diya
Sab kuchh badal diya
Jaanu na kaisa ab
Tera hi hoon main

Male : Tujhse pehle jaise jeete the
Jeete the
Meri jana hum thik the
Thik the
Kuchh aisi aashiqon ki lagi thi kataar
Jisme hum sabse pichhe the
Pichhe the
Bas tum jaan lo hum jaan dete ni andaazon pe
Jawab rakh de to sawaal khafa honge
Tabhi hum chup rehke kare salaam
Unhe jinhe is pyar mein nafa honge

Male : Khoyi zindagi kale kaamon me
Pyar kahan hai
Na main dhundhun mera yaar kaha hai
Par tu saamne hai aur

Male : Na jaane main ye ab kaise
Mujhe ye kya ho gaya
Main tera ho gaya
Kyon aisa lage jaise

Male : Aawara sa main
Tune ye kya kar diya
Sab kuchh badal diya
Jaanu na kaise ab
Tera hee hoon main

Male : Hath range jinke sare kale kaamon me
Wo kya hi kisi aur rang se khafa honge
Kabhi na lenge hum tumhara ye naam
Bas dil hi mein rakh ke fana honge

Male : Door se khade dekhenge ham
Pyar ke paas bhi aana nahi
Woho ho ho…
Ye khel ki tarah hai
Kabhi hara hai kabhi jeeta
Tabhi kehte hai

Male : Khoyi zindagi kale kaamon me
Pyar kahan hai
Na main dhundhun mera yaar kaha hai
Par tu saamne hai aur

Male : Na jaane main ye ab kaise
Mujhe ye kya ho gaya
Main tera ho gaya
Kyon aisa lage jaise

Male : Aawara sa main
Tune ye kya kar diya
Sab kuchh badal diya
Jaanu na kaise ab
Tera hee tera hee

Male : Tha main laapata kabse yahaan
Koi apna kahan tha
Kali raate kale kaamon me shaamil
Dil lagana mujhe lagta guna sa tha

Male : Ab honana juda tu hai naya sapna
Kaise tujhse khafa honge
Sirf tera hai nasha baaki kaun yahan
Jisse apna keh saku main

Male : Ab to ye mujhko bhi lagne laga hai
Kali ye raaton ki tu hi subah hai
Anjani raahon pe tu lage apna sa

Male : Na jaane main ye ab kaise
Mujhe ye kya ho gaya
Main tera ho gaya
Kyon aisa lage jaise

Male : Aawara sa main
Tune ye kya kar diya
Sab kuchh badal diya
Jaanu na kaise ab
Tera hee hu main
Tera hi hu main
Bas tera hi hun main
Tera hi tera hi tera hi
Hu main…


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT