LYRIC

Singer : B Praak

Music by : B Praak

Lyrics by : Jaani

Male : O koi gham nahin tha waise uski judai ka
Koi gham nahi tha waise uski judai ka
Par ye kya bola usne
Pachhtate rehte hain…

Male : Are usne humko chhoda
Hai ye baat kehke
Are usne humko chhoda
Hai ye baat kehke
Ke tere jaise log toh
Aate rehte hain

Male : Hum marenge jaldi jaldi
Par kishton kishton me
Ab itni zyada chalti hai
Apni farishton mein
Ho ab itni zyada chalti hai
Apni farishton mein

Male : Ho apna to har din marna
So apni arthi ko
Farishtey har dooje din
Uthate rehte hain

Male : Are usne humko chhoda hai
Ye baat kehke
Ke tere jaise log toh
Aate rehte hain

Male : Are usne humko chhoda hai
Ye baat kehke
Ke tere jaise log toh
Aate rehte hain…

Male : Jis ped ne tumko chhaon di
Wo jad kata baithe
Hum udd rahe the aasman mein
Par kata bethe

Male : Teri tasveeren jalane ke
Chakkar me jaanejan
Hum aise aashiq tere
Apna ghar jala bethe
Ho apna ghar jala bethe

Male : Ho ab itni nafarat hai humko
Hayye tere chehre se
Ke teri tasveeron ko
Zaher khilate rehte hain

Male : Are usne humko chhoda hai
Ye baat kehke
Ke tere jaise log toh
Aate rehte hain

Male : Are usne humko chhoda hai
Ye baat kehke
Ke tere jaise log toh
Aate rehte hain…

Male : {Saari raat rote rehte hain
Rulaate rehte hain
Oh saari raat rote rehte hain
Rulaate rehte hain

Male : Dhakke likhe hain karmo mein
So khaate rehte hain
Na koi hasane wala
Na nachane wala humko

Male : Toh khud ka haath pakadke
Khud ko nachate rehte hain

Male : Hum itne pagal ho gaye
Tere jaane ke baad
Ke bhujhe huye diyon ko
Bhujate rehte hain

Male : Are usne humko chhoda hai
Ye baat kehke
Ke tere jaise log jaani
Aate rehte hain…} Dialogue ….


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT