LYRIC

Singer : Lata Mangeshkar

Music by : Madan Mohan

Lyrics by : Raja Mehandi Ali Khan

Female : Aap ki nazron ne samjha
Pyaar ke kaabil mujhe
Dil ki aye dhadkan thehar ja
Mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha

Female : Ji hamein manzoor hai aapka yeh faisla
Ji hamein manzoor hai aapka yeh faisla
Keh rahi hai har nazar
Banda parvar shukriya
Hans ke apni zindagi mein

Female : Kar liya shaamil mujhe
Dil ki aye dhadkan thehar ja
Mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha

Female : Aapki manzil hoon main
Meri manzil aap hain
Aapki manzil hoon main
Meri manzil aap hain

Female : Kyon main toofan se daroon
Mere sahil aap hain
Koi toofano se keh de
Mil gaya sahil mujhe

Female : Dil ki aye dhadkan thehar ja
Mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha

Female : Pad gayi dil par meri
Aap ki parchhaiyan
Pad gayi dil par meri
Aap ki parchhaiyan

Female : Har taraf bajne lagin
Saikadon shehnaiyan
Do jahan ki aaj khushiyan
Ho gayi haasil mujhe

Female : Aap ki nazron ne samjha
Pyaar ke kaabil mujhe
Dil ki aye dhadkan thehar ja
Mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT