Jaadugari Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Jaadugari Song Lyrics is a track from YRF Hindi Album-2026, Starring Shivangi Negi. This song was sung by Aman. Music was composed by Aman and lyrics work penned by Aman.

 

 

 

 

 

Male : Teri aankhon ka main taara tha
Jhootha to nahin tha
Tumne jo yun sanwaara tha
Wo khwaab toh na tha

 

Male : Teri bekhudi mein lamhe mere
Aise jo guzre
Ab khud se main poochhoon
Ke wo mazaak to na tha

 

Male : Dil mera behak gaya
Main jaanu na yeh kya hua
Raaste bichhad gaye
Main jaanu na yeh kab hua

 

Male : Haan mera dil
Ab lage na kahin
Jabse mujhpe padi
Teri wo roshni

 

Male : Haan jaane wafa
Aise jaaun kahaan
Dil mein jo hai basi
Teri jaadugari

 

Humming : Na na na na na na na na na na…..

 

Male : Aaja main chhupa loon tujhko
Duniya se abhi
Palkon mein bitha doon tujhko
Haan to kar kabhi

 

Male : Teri ye jo harkaton se
Waakif hoon abhi
Tujhko main pukaaroon
Ab to aaja tu sahi

 

Male : Teri kami mujhko khal rahi
Aa bhi jaa aye dilnasheen
Meri jaane jaan
Na tu dur jaa
Na sataa mujhe abhi

 

Male : Haan mera dil
Ab lage na kahin
Jabse mujhpe padi
Teri woh roshni

 

Male : Haan jaane wafa
Aise jaaun kahaan
Dil mein jo hai basi
Teri jaadugari

 

Humming : Na na na na na na na na na na…..

 

Male : Jaane wafa
Aise jaaun kahaan
Dil mein jo hai basi
Teri jaadugari

 

Humming : Na na na na na na na na na na…..

Song Details

Film:YRFSinger:AmanLyricist:AmanMusic:AmanYear:2026

Official Video

Share this song: