Dekho Dekho Gadbad Ghotala Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Dekho Dekho Gadbad Ghotala Song Lyrics is a track from Sangram Hindi Film -1950, Starring Ashok Kumar, Nalini Jaywant, Nawab, Samson, Tiwari, Sajjan and Baby Tabassum. This song was sung by Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra) and Shamshad Begum. Music was composed by Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra) and lyrics work penned by Brajendra Gaud.

 

 

Female : Dekho dekho gadbad ghotala
Dekho dekho gadbad ghotala hoo
Daal mein hai kuchh kala
Hoye daal mein hai kuchh kala

Male : Kya kala

Female : Ho kala ho kala ho kala

Both : Dekho dekho gadbad ghotala
Dekho dekho gadbad ghotala hoo
Daal mein hai kuchh kala
Hoye daal mein hai kuchh kala

 

Male : Wo pardesi aur wo maklin

Female : Chhup chhup kar kyon
Milte hain pal chhinn

Male : Wo pardesi aur wo maklin

Female : Chhup chhup kar kyon
Milte hain pal chhinn

Male : Nazar nazar se milti hai jab
Dil ki kali yun khilti hai tab
Ek chaabi se khul jaata hai
Nau kamron ka taala

Both : Daal mein hai kuchh kala
Hoye daal mein hai kuchh kala
Dekho dekho gadbad ghotala
Dekho dekho gadbad ghotala hoo
Daal mein hai kuchh kala
Hoye daal mein hai kuchh kala

 

Female : Wo boli wo boli

Male : Kya

Female : Mat jaa bedardi

Male : Wo bola wo bola bhai teri marzi

Female : Na pagdi diya na kiraaya
Na pagdi diya na kiraaya
Muft mein dil ka bangla paaya
Muft mein dil ka bangla paaya

Male : Aankhon ki chauki se ghus kar
Dil mein dera daala hooo

Both : Daal mein hai kuchh kala
Hoye daal mein hai kuchh kala
Dekho dekho gadbad ghotala
Dekho dekho gadbad ghotala hoo
Daal mein hai kuchh kala
Hoye daal mein hai kuchh kala

 

Male : Sun sun maina kehta hai totaa
Hua ye wahi jo hai hota
Hua ye wahi jo hai hota

Female : Unki baat un par hi chhodo
Unki baat un par hi chhodo
Male : Ab tum humse naata jodo

Female : Ishq mein humko yun na sataao
Ishq mein humko yun na sataao
Jaao jaao jaao jaao jaao

 

Male : Haaye re haaye
Re haaye re haaye re haaye
Tere nakhre mein garam masaala
Ho tere nakhre mein garam masaala
Ho tere ho tere
Ho tere nakhre mein garam masaala

 

Male : Daal mein hai kuchh kala
Hoye daal mein hai kuchh kala
Dekho dekho gadbad ghotala
Dekho dekho gadbad ghotala hoo
Daal mein hai kuchh kala
Hoye daal mein hai kuchh kala

Song Details

Official Video

Share this song:

Never miss a beat.

Get the latest hits, new lyricist additions, and trending songs delivered straight to your inbox.