Sine Me Dil Tadap Kar Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Jawani Ne Jawani Ko Song Lyrics is a track from Guru Dakshina Hindi Film -1950, Starring NA. This song was sung by Ira Nigam. Music was composed by Lachhiram Tamar and lyrics work penned by Sarshar Sailani.

Female : Sine me dil tadap kar
Fariyaad kar raha hai
Ek bewafa ke waado ko
Yaad kar raha hai
Female : Bechain hain umange
Armaan ro rahe hain
Bechain hain umange
Armaan ro rahe hain
Dil ki tabaahiyon ke
Saamaan kho rahe hain
Dil ki tabaahiyon ke
Saamaan kho rahe hain
Aabaad karne waala
Barbaad kar raha hai
Aabad karne waala
Barbaad kar raha hai
Female : Sine me dil tadap kar
Fariyaad kar raha hai
Ek bewafa ke waado ko
Yaad kar raha hai
Female : Apna bana ke gam ko
Gairo se kaun basa le
Apna bana ke gam ko
Gairo se kaun basa le
Saiyad ne niraali
Tarze sitam nikaali
Saiyad ne niraali
Tarze sitam nikaali
Par kaat kar humare
Aazaad kar raha hai
Par kaat kar humare
Aazaad kar raha hai
Female : Sine me dil tadap kar
Fariyaad kar raha hai
Ek bewafa ke waado ko
Yaad kar raha hai

Song Details

Official Video

Share this song: