Yeh Taara Woh Taara Song Lyrics

Lyrics in Hinglish

Yeh Taara Woh Taara Song Lyrics is a track from Swades Hindi Film – 2004, Starring Shah Rukh Khan, Gayatri Joshi and Kishori Ballal. This song was sung Baby Pooja, Master Vignesh and Udit Narayan. Music was composed by A. R. Rahman and lyrics work penned by Javed Akhtar.

 

Male : Hey heyy.. hey hey hey hey…
Hey heyy.. hey hey hey hey…
Oh ho ho ho ho ho ho… ho ho ho ho ho

 

Male : Ye taara woh taara har taara
Ye taara woh taara har taara
Dekho jisse bhi lage pyaara
Ye taara woh taara har taara

 

Male : Ye sab saath mein
Jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasman saara..

 

Male : Ye sab saath mein
Jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasman saara..

 

Male : Jagmag taare do taare
Lo taare sau taare
Jagmag saare
Har taara hai sharara..

 

Male : Tum mein dekhi hai dhanak toh
Bolo rang kitne hain
Saath rang kehne ko
Phir bhi sang kitne hain

 

Male : Samjho sabse pehele toh
Rang hote akele toh
Indranush banta hi nahin

 

Male : Ek na ham ho paaye toh
Anyaay se ladne ko
Hogi koyi janta hi nahin

 

Male : Phir na kehna nirbal hai
Kyun haara
Hmm hmm hmm hmm hmm hmmm…
Taara taara..

 

Male : Ye taara woh taara har taara
Ye taara woh taara har taara
Ye taara woh taara har taara
Dekho jisse bhi lage pyaara

 

Male : Ye sab saath mein
Jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasman saara

 

Male : Jagmag taare do taare
Lo taare sau taare
Jagmag saare
Har taara hai sharara..

 

Male : Boond boond milne se
Banta ek dariya hai
Boond boond saagar hai
Warna ye saagar kya hai

 

Male : Samjho is paheli ko
Boond ho akeli toh
Ek boond jaise
Kuchh bhi nahin

 

Male : Ham auron ko chhode
Toh munh sabse hi mude toh
Tanha rehna jaaye
Dekho ham kahin

 

Male : Kyun na bane milke ham dhaara..
Hmm hmm hmm hmm hmm hmmm..
Tara.. taara..

 

Male : Ye taara woh taara har taara
Ye taara woh taara har taara
Dekho jisse bhi lage pyaara
Ye taara woh taara har taara

 

Male : Ye sab saath mein
Jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasman saara

 

Both : Jagmag taare do taare
Lo taare sau taare
Jagmag saare
Har taara hai sharara..

 

Male : Hey hey.. hey hey hey hey…
Hey hey.. hey hey hey hey…
Oh ho ho ho ho ho oho..
Ho ho ho ho ho..

 

Male : Jo kisaan hal sambhaale
Dharti sona hi ugaaye..
Jo gowaala gaiya paale
Dudh ki nadi bahaaye..

 

Male : Jo lohaar loha dhhaale
Har auzaar dhhal jaaye..
Mitti jo kumbhaar uthhaale
Mitti pyaala ban jaaye..

 

Male : Sab ye roop hai mehnat ke
Kuchh karne ki chaahat ke
Kissi ka kissi se
Koyi bair nahin

 

Male : Sab ke ek hi sapne hain
Socho toh sab apne hain
Koyi bhi kissi se
Yahaan ghair nahin

 

Male : Seedhi baat hai samjho yaara..
Hmm hmm hmm hmm hmm hmmm..
Tara.. taara..

 

Female : Ye taara woh taara har taara
Ye taara woh taara har taara

 

Male : Dekho jisse bhi lage pyaara
Ye taara woh taara har taara

 

Male : Ye sab saath mein
Jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasman saara..

 

Female : Jagmag taare do taare
Lo taare sau taare
Jagmag saare
Har taara hai sharara

 

All : Ye taara woh taara har taara
Ye taara woh taara har taara
Ye taara woh taara har taara
Dekho jisse bhi lage pyaara

 

Song Details

Official Video

Share this song:

More from Swades