LYRIC

Singers : Mohammed Irfan and Palak Muchhal

Music by : Liyaqat Ajmeri

Male : Lamha lamha mujhko
Yeh ehsaas hone laga hai
Dil ki zamin pe
Koyi pyaar bone laga hai

Male : Ek uns darmiyan hai
Halaat ishqiya hai
Jo lab na keh sake woh
Is dil ne keh diya hai

Male : Ajab hai khumari
Ajab hai suroor
Mujhe kuchh na kuchh to
Hua hai zaroor

Male : {Saiyan re saiyan re
Saiyan re saiyan re
Saiyan re saiyan re saiyan re} (2)

Female : {Parindon se udd jaayein aa humsafar
Ke hum pe hua chahaton ka asar} (2)

Female : Falak se bhi aage kahin hum chalein
Bana lein wahin apni chahat ka ghar

Female : Tere sang beh raha hai
Meri rooh ka shikara
Jahaan jannate meri hain
Tu hai wahi kinara

Male : Haan ajab hai khumari
Ajab hai surur
Mujhe kuchh na kuch to
Hua hai zaroor

Male : {Saiyan re saiyan re
Saiyan re saiyan re
Saiyan re saiyan re saiyan re } (2)

Female : {Hai zaahir bhi tu mere andar bhi tu
Meri khaahishon ka samundar bhi tu} (2)
Zubaan pe mere bas teri baatin hai
Ke daman mein ab teri saughat hai

Male : Mere hath ki lakeerein
Tere naam se judi hain
Jab se mila mujhe tu
Meri neend tak uddi hai

Male : Ajab hai khumari
Ajab hai surur
Mujhe kuchh na kuch to
Hua hai zaroor

Both : {Saiyan re saiyan re
Saiyan re saiyan re
Saiyan re saiyan re saiyan re } (2)


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT