Jeene Mein Aaye Maza Song Lyrics
Lyrics in Hinglish
Singer : Ankur Tewari
Music by : Ankur Tewari and Mikey McCleary
Male : Tarazu ke bas do thaal hain
Ek ore hum dooje mein khwaab hain
Zindagi yeh pareshaan hai
Ganimat hai tu hai yahan
Jeene mein aaye maza
Male : Khareeda nahi jaata khwaab hai
Kiraya bhi aisa lajawab hai
Zindagi yeh pareshaan hai
Ganimat hai tu hai yahan
Jeene mein aaye maza
Male : Tu jo mila jaaga khwaab hai
Khoyi huyi meri kitaab hai
Muskaya sa aadaab hai
Jeene mein aaye maza
Male : Sustaye mausam aabaad hain
Hawaon ke rukh humse naaraaz hain
Zindagi yeh pareshaan hai
Ganimat hai tu hai yahan
Jeene mein aaye maza
Male : Tu jo mila chhida saaz hai
Khamoshi ko mili aawaaz hai
Behti hawa sa ehsaas hai
Jeene mein aaye maza
Male : Bigda hua hisaab hai
Thoda nafa thoda nuksaan hai
Zindagi yeh pareshaan hai
Ganimat hai tu hai yahan
Jeene mein aaye maza
Hindi lyrics are not available for this song yet.