LYRIC

Singers : KK, Runa Rizvi, Sunidhi Chauhan and Vinod Rathod

Music by : Sandesh Shandilya

Chorus : ……………………

Female : Dekar dil kisi ko maine
Apna dil haar diya
Suno suno ae duniya walo
Ha maine bhi pyar kiya

Male : Ha machal ke machal ke
Zara ae haseena
Bata de jaha ko hum tum itna ke
Kadam pe kadam pe hongi sath hum
Ye zamana chahe to lele imteha

Female : Dil kya chiz hai jaan bhi humne
Yaara tere naam kiya
Male : Ey ey ey…..
Female : Suno suno ae duniya walo
Ha maine bhi pyar kiya

Male : Ha sambhal ke sambhal ke
Zara ae haseena
Pyar hota nahi hai aasan itna
Kadam pe kadam pe hongi muskile
Phir na kehna na kehna maine kya kiya

Chorus : ………………………

Female : Paya tumko humne yara
Apni ye to kismat hai
Chamka hai taqdir ka tara
Uska naam mohabbat hai

Male : Uski chamak ko roke koi kya
Usko humse chhine koi kya
Haatho ki rekhao me humne
Us taare ko tham liya

Female : Heyyy
Suno suno ae duniya walo
Ha maine bhi pyar kiya

Male : Ha machal ke machal ke
Zara ae haseena
Bata de jaha ko hum tum itna ke
Kadam pe kadam pe hongi saath hum
Yeh zamana chahe to lele imteha

Female : Muskil muskil kuch bhi aaye
Muskil se kya darna hai
Dil ki humne ki hai gulami
Jo dil bole karna hai

Male : Ye dil hai nadan dil ka kya
Nadano ki sun na kya
Dil ko phir ilzam na dena
Dil ne kaisa kaam kiya

Female : Suno suno ae duniya walo
Ha maine bhi pyar kiya

Male : Ha sambhal ke sambhal ke
Zara ae haseena
Pyar hota nahi hai aasan itna
Kadam pe kadam pe hongi muskile
Phir na kehna na kehna maine kya kiya


Added by

Nithya

SHARE

ADVERTISEMENT